Imam Ali A.S.- Bhook aur Bimari ek jagah jamaa nahi ho sakti. ||  Imam Ali A.S.-Haaya(Sharm) bure kaamo se rok deti hai. ||  Imam Sadiq A.S. Naye Kapde pehante waqt LA ELAAHAA ILLALAH MUHAMMDUR RASULALLAH padho taake tum aafato se najat pao aur khush raho. ||  Imam Ali A.S. Bhooka rehna sabse MUFID(faydewali) aur behtar dawa (medicine) hai. ||  Imam Ali A.S.- Jab tak tumhe kisi kaam ka TAJURBA/EXPERIENCE na ho jaye tab tak kisi bhi tarah ka qadam mat utahao. ||  Imam Ali A.S. Se Poocha gaya ke Sharif kaun hai? AAP ne farmaya 'Jo Kamzor ke saath INSAAF kare'.  ||  Hazrat Mohammad SAWW- Maa-Baap ki nafarmani wo gunah hai ke aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Hazrat Mohammad Mustfa SAWW- Maa Baap ki nafarmani wo gunah hai ki aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Imam Mohammad Taqi A.S.- Jo meri phuphi(aunty) MASUMA-E-QUM S.A. ki qabr ki ziyarat kare uske liye Jannat hai. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Sona(Gold) aur Resham meri ummat ki Aurto ke liye Halal hai aur Mardo ke liye Haram hai. ||  Imam Sadiq A.S.- Jo Quran ki tilawat dekh ke kare to uski annkhon ki roshni mazbut hogi aur uske waledain ke gunah maaf honge, chaahe wo kafir hi kyun na ho. ||  S.7, A.20 : Logo Quran Padha jaye to dhiyaan se suno aur khamosh raho taaki tum par reham kiya jaye. ||  Imam jafar Sadiq A.S.- Apni Aulaad ke nek naam rakho kyun ki qayamat me inhee naamo ke zariye pukara jayaga. ||  Nahjul Balagha: Certainly, the Quran is wonderful in its outward form, and its inner meanings are profound. ||  Imam Ali A.S. Kamzor par zulm karna badtareen zulm hai. ||  Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai To Yaad Diladunga Jung Haider-E-Karrar Ki ||  Imam Ali A.S.- Apne bacho ka naam paida hona se pehle rakho. ||  Imam Jafar Sadiq A.S.- Jo Mohtaj Momin ko Khana khilaye to aisa hai ke usne Hazrat Ismail ki Aulad me se 100 admiyo ko QATL se bachaya. ||  Imam Ali A.S.- ILM aisi khubsurti hai jo chipi(hidden) rehti aur aisa rishta hai jo munqata(disconnect) nahi hota. ||  Imam Ali A.S.- Apne Bacchon ko NAMAZ sikaho aur jab baligh ho jaye to unko NAMAZ padhne par majboor karo. || 
Nadeem Sarwar JAHAN HUSSAIN WAHAN LA ILAHA ILLALLAH