Imam jafar Sadiq A.S.- Apni Aulaad ke nek naam rakho kyun ki qayamat me inhee naamo ke zariye pukara jayaga. ||  Imam Baqir A.S. Agar koi Momin ke liye dua karta hai to farishte ALLAH se uske liye dua karte hai aur farishton ki dua ALLAH jald qubul karta hai. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Jo Behtrain tarike se KHANA-E-KAABA ka TAWAF kare aur 2 rakat namaz padhe ALLAH uske pichle Gunah maaf kar dega. ||  Imam Sadiq A.S. Jo wuzu ke bad kisi chiz se khushk(wipe) nahi karega aur aazae wuzu khud ba khud khushk ho jae(sukh jaye) to ose 30 nekiyon ka sawab milega. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Maa-Baap ki nafarmani wo gunah hai ke aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Imam Ali A.S. Kamzor par zulm karna badtareen zulm hai. ||  Imam Ali A.S. Se Poocha gaya ke Sharif kaun hai? AAP ne farmaya 'Jo Kamzor ke saath INSAAF kare'.  ||  Wo Jis Ne Apny Na Na Ka Wada Wafa Kar Dia Ghar Ka Ghar Supard-E-Khuda Kar Dia Nosh Kar Lia Jis Ne Shahadat Ka Jaam Us 'Hussain Ibne-Ali' Par Lakhon Salam ||  Imam Mohammad Baqir A.S.- Wo ko WUZU karte waqt ek baar AYATUL QURSI padhe to ALLAH uske 40 saal ki ibadat ka sawab dega, 40 darjat buland karega, 40 huron se shadi karega. ||  Daman E Aql Ko Jo Chaak Nhi Kr Sakta, Wo Kbi Noor Ka Idrak Ni Kr Sakta, Bughz E Haider Ki Nijasat Ha Nijasat Aisi, Aab-E-Zum Zum Bhi Jise Pak Nhi Kr Sakta ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Agar koi chahe ke uski DUA qabool ho to woh HARAM KHANA aur HARAM KAMAI se parhez kare. ||  Imam Jafar Sadiq A.S.- Jo Mohtaj Momin ko Khana khilaye to aisa hai ke usne Hazrat Ismail ki Aulad me se 100 admiyo ko QATL se bachaya. ||  Pani Ki Talab Ho To 1 Kaam Kia Kar Karbala K Naam Pe 1 Jam Piya Kar Ki Mujko Hussain Ibn-E-Ali Ne Yeh Naseehat Zalim Ho Muqabil To Mera Naam Liya Kar ||  Imam Ali A.S.- Jo ISTEKHARA karega woh kabhi hairan nahi foga aur jo mashwara(advice) lega kabhi pareshan nahi hoga. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Sona(Gold) aur Resham meri ummat ki Aurto ke liye Halal hai aur Mardo ke liye Haram hai. ||  Nahjul Balagha: Certainly, the Quran is wonderful in its outward form, and its inner meanings are profound. ||  Imam Ali A.S.- Jis Din Insaan koi Gunah na kare, wo din uske liye EID ka din hai. ||  Imam Mohammad Taqi A.S.- Jo meri phuphi(aunty) MASUMA-E-QUM S.A. ki qabr ki ziyarat kare uske liye Jannat hai. ||  Imam Ali A.S.- Jab tak tumhe kisi kaam ka TAJURBA/EXPERIENCE na ho jaye tab tak kisi bhi tarah ka qadam mat utahao. ||  Imam Sadiq A.S. Naye Kapde pehante waqt LA ELAAHAA ILLALAH MUHAMMDUR RASULALLAH padho taake tum aafato se najat pao aur khush raho. ||