Imam Ali A.S.- ILM aisi khubsurti hai jo chipi(hidden) rehti aur aisa rishta hai jo munqata(disconnect) nahi hota. ||  Imam Ali A.S.-Jehalat(ignorance) har buraai ki jad(root) hai, jehalat aakherat ko barbbad kar deti hai. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Maa-Baap ki nafarmani wo gunah hai ke aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||  Imam Jafar Sadiq A.S.- Jo Mohtaj Momin ko Khana khilaye to aisa hai ke usne Hazrat Ismail ki Aulad me se 100 admiyo ko QATL se bachaya. ||  Imam Ali a.s ne farmaya: Gunah aik Aisa Marz Hai Jiski Dawa Astaghfar Hai Aur us Gunah ko Na Dohrana uski shifa Hai: Ref: Tajaliat-e-Hikmat Page 205 ||  S.7, A.20 : Logo Quran Padha jaye to dhiyaan se suno aur khamosh raho taaki tum par reham kiya jaye. ||  Imam Ali A.S.- Apne Bacchon ko NAMAZ sikaho aur jab baligh ho jaye to unko NAMAZ padhne par majboor karo. ||  Imam Sadiq A.S. Naye Kapde pehante waqt LA ELAAHAA ILLALAH MUHAMMDUR RASULALLAH padho taake tum aafato se najat pao aur khush raho. ||  Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Jo Behtrain tarike se KHANA-E-KAABA ka TAWAF kare aur 2 rakat namaz padhe ALLAH uske pichle Gunah maaf kar dega. ||  Daman E Aql Ko Jo Chaak Nhi Kr Sakta, Wo Kbi Noor Ka Idrak Ni Kr Sakta, Bughz E Haider Ki Nijasat Ha Nijasat Aisi, Aab-E-Zum Zum Bhi Jise Pak Nhi Kr Sakta ||  Hazrat Mohammad SAWW- 4 cheezen insaan ki khush nasibi hai Nek Dost, Nek Aulad, Uski Biwi ki soch uske jaisi ho aur uska Rozgar uske apne shehar me ho. ||  Imam Ali A.S.- Jo ISTEKHARA karega woh kabhi hairan nahi foga aur jo mashwara(advice) lega kabhi pareshan nahi hoga. ||  Hazrat Mohammad SAWW- Jab kabhi koi Faqeer raat ke waqt darwaze par dastak dekar(aakar) kuch maange to kabhi bhi oose thukrana nahi. ||  Imam Ali A.S.- Jis Din Insaan koi Gunah na kare, wo din uske liye EID ka din hai. ||  Imam Sadiq A.S. Jo wuzu ke bad kisi chiz se khushk(wipe) nahi karega aur aazae wuzu khud ba khud khushk ho jae(sukh jaye) to ose 30 nekiyon ka sawab milega. ||  Hazrat Mohammad Mustafa Saww- Jo KHANA khakar ALLAH ka shukr ada karta hai wo unke jaise hai jinho ne ROZA rakha aur sabr kiya. ||  Imam Mehdi ATFS- Jab ALLAH SAWW se koi DUA maango to pehle MUHAMMAD WA AALE MUHAMMAD par DURUD(Salwat) bhejo phir apni dua talab karo/maanogo. SALWAT ||  Hazrat Mohammad SAWW- Sona(Gold) aur Resham meri ummat ki Aurto ke liye Halal hai aur Mardo ke liye Haram hai. ||  Imam Ali A.S. Kamzor par zulm karna badtareen zulm hai. ||  Imam Ali A.S.- Bhook aur Bimari ek jagah jamaa nahi ho sakti. || 
Month Of Jamadi-Us-Sani
Share |

3 Jamadi-us-Sani Martyrdom of Hazrat Fatima Zahra(s.a.) - [11 A.H.]

8 Jamadi-us-Sani  Battle of Moutah - Martyrdom of Hazrat Jafer-e-Tayyar(a.r.) - [8 A.H.]

13 Jamadi-us-Sani Death of Hazrat Umm-ul-Baneen(a.s.) - mother of Hazrat Abbas(a.s.)

20 Jamadi-us-Sani Birth of Hazrat Fatima Zahra(s.a.)