Daman E Aql Ko Jo Chaak Nhi Kr Sakta, Wo Kbi Noor Ka Idrak Ni Kr Sakta, Bughz E Haider Ki Nijasat Ha Nijasat Aisi, Aab-E-Zum Zum Bhi Jise Pak Nhi Kr Sakta ||
Imam Ali A.S.- Jo ISTEKHARA karega woh kabhi hairan nahi foga aur jo mashwara(advice) lega kabhi pareshan nahi hoga. ||
Hazrat Mohammad Mustafa SAWW- Jo Behtrain tarike se KHANA-E-KAABA ka TAWAF kare aur 2 rakat namaz padhe ALLAH uske pichle Gunah maaf kar dega. ||
Imam Jafar Sadiq A.S.- Jo Mohtaj Momin ko Khana khilaye to aisa hai ke usne Hazrat Ismail ki Aulad me se 100 admiyo ko QATL se bachaya. ||
Imam Mohammad Baqir A.S.- Wo ko WUZU karte waqt ek baar AYATUL QURSI padhe to ALLAH uske 40 saal ki ibadat ka sawab dega, 40 darjat buland karega, 40 huron se shadi karega. ||
Imam Sadiq A.S. Naye Kapde pehante waqt LA ELAAHAA ILLALAH MUHAMMDUR RASULALLAH padho taake tum aafato se najat pao aur khush raho. ||
Imam Ali A.S.- Apne Bacchon ko NAMAZ sikaho aur jab baligh ho jaye to unko NAMAZ padhne par majboor karo. ||
Imam Ali a.s ne farmaya: Gunah aik Aisa Marz Hai Jiski Dawa Astaghfar Hai Aur us Gunah ko Na Dohrana uski shifa Hai: Ref: Tajaliat-e-Hikmat Page 205 ||
Imam Ali A.S.- Bhook aur Bimari ek jagah jamaa nahi ho sakti. ||
Hazrat Mohammad SAWW- Sona(Gold) aur Resham meri ummat ki Aurto ke liye Halal hai aur Mardo ke liye Haram hai. ||
Imam Ali A.S.- ILM aisi khubsurti hai jo chipi(hidden) rehti aur aisa rishta hai jo munqata(disconnect) nahi hota. ||
Imam Sajjad A.S.- Jhooti Qasam se mall barbaad ho jaata hai aur karobar me barkat khatm ho jaati hai. ||
Imam jafar Sadiq A.S.- Apni Aulaad ke nek naam rakho kyun ki qayamat me inhee naamo ke zariye pukara jayaga. ||
Hazrat Mohammad SAWW- Maa-Baap ki nafarmani wo gunah hai ke aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||
Hazrat Mohammad SAWW- 4 cheezen insaan ki khush nasibi hai Nek Dost, Nek Aulad, Uski Biwi ki soch uske jaisi ho aur uska Rozgar uske apne shehar me ho. ||
Imam Ali A.S.: silence is the best reply to a fool. ||
Hazrat Mohammad Mustafa Saww- Jo KHANA khakar ALLAH ka shukr ada karta hai wo unke jaise hai jinho ne ROZA rakha aur sabr kiya. ||
Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai
To Yaad Diladunga Jung Haider-E-Karrar Ki ||
Imam Ali A.S.-Jehalat(ignorance) har buraai ki jad(root) hai, jehalat aakherat ko barbbad kar deti hai. ||
S.7, A.20 : Logo Quran Padha jaye to dhiyaan se suno aur khamosh raho taaki tum par reham kiya jaye. ||
Weekly Poll
What in today's world can be met by Imam Mehdi (A.J.) [Imam-e-Zamana]
Imam Ali Naqi (A.S.)
Martyrdom Anniversary of Imam al-Hadi (A.S.)
Name: ‘Ali bin Muhammad.
Agnomen: Abul Hasan ath-Thalith.
Title: An-Naqi; al-Hadi.
Father: Muhammad at-Taqi.
Mother: Samana.
Birth: 15th Dhil Hijja, 212 AH in Sarya, near Medina.
...More
May 26, 2012
0 vote(s)
25184 Views
Copyright © 2008-2025 14 Masoomeen Site Developed by John Rizvi