Imam Sadiq A.S. Jo wuzu ke bad kisi chiz se khushk(wipe) nahi karega aur aazae wuzu khud ba khud khushk ho jae(sukh jaye) to ose 30 nekiyon ka sawab milega. ||
Imam Sajjad A.S.- Jhooti Qasam se mall barbaad ho jaata hai aur karobar me barkat khatm ho jaati hai. ||
Imam Ali A.S.-Jehalat(ignorance) har buraai ki jad(root) hai, jehalat aakherat ko barbbad kar deti hai. ||
Imam Sadiq A.S. Naye Kapde pehante waqt LA ELAAHAA ILLALAH MUHAMMDUR RASULALLAH padho taake tum aafato se najat pao aur khush raho. ||
Hazrat Mohammad Mustafa SAWW-Agar Koi MUSALMAAN ko milawat wala MAAL bechta hai wo humme se nahi hai. QAYAMAT ke din wo YAHUDIYO ke sath uthaya jayega. ||
Imam Ali A.S.- Jis Din Insaan koi Gunah na kare, wo din uske liye EID ka din hai. ||
Hazrat Mohammad SAWW- Maa-Baap ki nafarmani wo gunah hai ke aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||
Imam Ali A.S.- ILM aisi khubsurti hai jo chipi(hidden) rehti aur aisa rishta hai jo munqata(disconnect) nahi hota. ||
Hazrat Mohammad SAWW- 4 cheezen insaan ki khush nasibi hai Nek Dost, Nek Aulad, Uski Biwi ki soch uske jaisi ho aur uska Rozgar uske apne shehar me ho. ||
Hazrat Mohammad Mustafa Saww- Jo KHANA khakar ALLAH ka shukr ada karta hai wo unke jaise hai jinho ne ROZA rakha aur sabr kiya. ||
Imam Ali A.S. Bhooka rehna sabse MUFID(faydewali) aur behtar dawa (medicine) hai. ||
Hazrat Mohammad SAWW- Sona(Gold) aur Resham meri ummat ki Aurto ke liye Halal hai aur Mardo ke liye Haram hai. ||
Imam Ali A.S. Kamzor par zulm karna badtareen zulm hai. ||
S.47, A.7: Ay imanwalo agar tum ALLAH(k deen) ki madad karoge to wo tumhari madad karega aur tumhe sabit qadam rakhega. ||
Pani Ki Talab Ho To 1 Kaam Kia Kar Karbala K Naam Pe 1 Jam Piya Kar Ki Mujko Hussain Ibn-E-Ali Ne Yeh Naseehat Zalim Ho Muqabil To Mera Naam Liya Kar ||
Imam Ali A.S.- Apne Bacchon ko NAMAZ sikaho aur jab baligh ho jaye to unko NAMAZ padhne par majboor karo. ||
Wo Jis Ne Apny Na Na Ka Wada Wafa Kar Dia Ghar Ka Ghar Supard-E-Khuda Kar Dia Nosh Kar Lia Jis Ne Shahadat Ka Jaam Us 'Hussain Ibne-Ali' Par Lakhon Salam ||
Imam Ali A.S.- Bhook aur Bimari ek jagah jamaa nahi ho sakti. ||
Hazrat Mohammad Mustfa SAWW- Maa Baap ki nafarmani wo gunah hai ki aadmi ki zindagi hi me ALLAH usko marne se pehle saza deta hai. ||
Zarurat Thi Talwaar Ki Na Aur Kisi Hathiyar Ki Sirf Ek Dua Thi Karbala Main Alamdaar Ki Fakat Mil Jaye Ijazat Aqa Hussain Sai
To Yaad Diladunga Jung Haider-E-Karrar Ki ||
Weekly Poll
What in today's world can be met by Imam Mehdi (A.J.) [Imam-e-Zamana]
Copyright © 2008-2025 14 Masoomeen Site Developed by John Rizvi